ab yahi saya-e-diwar mera ghar Thahra
ab yahī sāya-e-dīvār mirā ghar Thahrā
use chhoḌūñ bhī to kaise mirā paikar Thahrā
ab kisī aur jazīre kā safar kyoñ kiije
maiñ bhī insān huuñ āshob kā ḳhūgar Thahrā
vaqt kā apnā safar abr kī apnī manzil
ek pal ke liye saaya mire dar par Thahrā
phir use pyaas ke sahrā se pukārā maiñ ne
maiñ ki mavvāj samundar kā shanāvar Thahrā
kyoñ na bargashta ho qismat kā sitāra mujh se
ki sitāra bhī vahī māh-e-munavvar Thahrā
zabt lāzim thā magar aañkh meñ aañsū bhar aa.e
aa ke sailāb mere ghar ke barābar Thahrā
rif.at-e-dār se insāñ kā bharam hai varna
kaun be-minnat-e-sultāñ sar-e-mimbar Thahrā
ab yahi saya-e-diwar mera ghar Thahra
use chhoDun bhi to kaise mera paikar Thahra
ab kisi aur jazire ka safar kyon kije
main bhi insan hun aashob ka KHugar Thahra
waqt ka apna safar abr ki apni manzil
ek pal ke liye saya mere dar par Thahra
phir use pyas ke sahra se pukara main ne
main ki mawwaj samundar ka shanawar Thahra
kyon na bargashta ho qismat ka sitara mujh se
ki sitara bhi wahi mah-e-munawwar Thahra
zabt lazim tha magar aankh mein aansu bhar aae
aa ke sailab mere ghar ke barabar Thahra
rifat-e-dar se insan ka bharam hai warna
kaun be-minnat-e-sultan sar-e-mimbar Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.