ab ye dhun chhoD bhi do usko kahan paoge
ab ye dhun chhoḌ bhī do us ko kahāñ pāoge
ghar chalo varna kahīñ aur nikal jāoge
ab isī zaḳhm se gul-posh badan hai saarā
aao dekho to sahī phuul se khil jāoge
ham bhī ab tak usī manzar ke fusūñ meñ gum haiñ
tum bhī us ḳhvāb kī ta.abīr na sun pāoge
āb-e-ā.īna ko yuuñ dekhtā rahtā huuñ ki bas
sūrat-e-aks tumhīñ jaise ubhar aaoge
nāḳhun-e-aql se kab uqda-e-dil khultā hai
chhoḌ do varna tumhīñ is meñ ulajh jāoge
ab ye dhun chhoD bhi do us ko kahan paoge
ghar chalo warna kahin aur nikal jaoge
ab isi zaKHm se gul-posh badan hai sara
aao dekho to sahi phul se khil jaoge
hum bhi ab tak usi manzar ke fusun mein gum hain
tum bhi us KHwab ki tabir na sun paoge
aab-e-aina ko yun dekhta rahta hun ki bas
surat-e-aks tumhin jaise ubhar aaoge
naKHun-e-aql se kab uqda-e-dil khulta hai
chhoD do warna tumhin is mein ulajh jaoge
- Book : غبار حیرانی (Pg. 40)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.