ab ye gulzar hain sab mere liye Khaar miyan
ab ye gulzār haiñ sab mere liye ḳhaar miyāñ
maiñ ne jalte hue sūraj ko kiyā paar miyāñ
aap samjhe hī nahīñ asl meñ taḳhlīq kā raaz
vaqt kā pahlā sahīfa hai sirf pyaar miyāñ
aaj bhī puure taqaddus se munavvar hai samāñ
ilm kī pahlī tilāvat hai vahī ġhaar miyāñ
ye javānī ye buḌhāpā huā kuchh yaad nahīñ
ham ki aise hue hālāt se do-chār miyāñ
sar kaTāte hī bulandī kī taraf uThte haiñ
karbalā vāloñ ke shajre meñ kahāñ haar miyāñ
ab ye gulzar hain sab mere liye KHar miyan
main ne jalte hue suraj ko kiya par miyan
aap samjhe hi nahin asl mein taKHliq ka raaz
waqt ka pahla sahifa hai sirf pyar miyan
aaj bhi pure taqaddus se munawwar hai saman
ilm ki pahli tilawat hai wahi ghaar miyan
ye jawani ye buDhapa hua kuchh yaad nahin
hum ki aise hue haalat se do-chaar miyan
sar kaTate hi bulandi ki taraf uThte hain
karbala walon ke shajre mein kahan haar miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.