ab zara si bhi KHushi pe yar dukhne lagte hain
ab zarā sī bhī ḳhushī pe yaar dukhne lagte haiñ
muskurā dene se bhī ruḳhsār dukhne lagte haiñ
rāh-e-ulfat meñ mile har ābloñ ko sah gayā
kyā dukheñge zaḳhm ab ḳhud ḳhaar dukhne lagte haiñ
chāhtā huuñ maiñ ki terā naam har misre meñ ho
zikr se tere magar ash'ār dukhne lagte haiñ
jī meñ aatā hai ki tujh pe chheḌ duuñ koī ġhazal
yaad kuchh aatā hai dil ke taar dukhne lagte haiñ
us ko lagtā hai koī shikva nahīñ mujh ko magar
kuchh na kah sakne se lab har baar dukhne lagte haiñ
baat to hogī nahīñ par dekhne aayā karo
varna apnī qabr meñ ham yaar dukhne lagte haiñ
ab zara si bhi KHushi pe yar dukhne lagte hain
muskura dene se bhi ruKHsar dukhne lagte hain
rah-e-ulfat mein mile har aablon ko sah gaya
kya dukhenge zaKHm ab KHud KHar dukhne lagte hain
chahta hun main ki tera nam har misre mein ho
zikr se tere magar ash'ar dukhne lagte hain
ji mein aata hai ki tujh pe chheD dun koi ghazal
yaad kuchh aata hai dil ke tar dukhne lagte hain
us ko lagta hai koi shikwa nahin mujh ko magar
kuchh na kah sakne se lab har bar dukhne lagte hain
baat to hogi nahin par dekhne aaya karo
warna apni qabr mein hum yar dukhne lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.