Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab zindagi ka koi sahaara nahin raha

Ghazal Ansari

ab zindagi ka koi sahaara nahin raha

Ghazal Ansari

MORE BYGhazal Ansari

    ab zindagī koī sahārā nahīñ rahā

    sab ġhair haiñ koī bhī hamārā nahīñ rahā

    aġhyār nazar meñ rahe misl-e-ḳhār ham

    ab jiinā jāgnā bhī hamārā nahīñ rahā

    subā.ī asbiyat ne khilā.e kuchh aise gul

    ab bhaa.ī bhaa.ī bhī sahārā nahīñ rahā

    ab to hamārī naav hai tuġhyāniyoñ ke beach

    nazdīk-o-dūr koī kinārā nahīñ rahā

    ḳhūn-e-jigar se sīñchā thā ham ne jo ik shajar

    haañ ab to vo shajar bhī hamārā nahīñ rahā

    chun chun ke tinke ham ne banāyā thā āshiyāñ

    ye kyā ġhazab vo ghar bhī hamārā nahīñ rahā

    maazī kuchh hasīn yādeñ rah ga.iiñ

    āñkhoñ meñ aur koī nazāra nahīñ rahā

    ahl-e-chaman ye kahte haiñ aage baḌhūñ 'ġhazal'

    ab koī haq chaman ye tumhārā nahīñ rahā

    ab zindagi ka koi sahaara nahin raha

    sab ghair hain koi bhi hamara nahin raha

    aghyar ki nazar mein rahe misl-e-KHar hum

    ab jina jagna bhi hamara nahin raha

    subai asbiyat ne khilae kuchh aise gul

    ab bhai bhai ka bhi sahaara nahin raha

    ab to hamari naw hai tughyaniyon ke beach

    nazdik-o-dur koi kinara nahin raha

    KHun-e-jigar se sincha tha hum ne jo ek shajar

    han ab to wo shajar bhi hamara nahin raha

    chun chun ke tinke hum ne banaya tha aashiyan

    ye kya ghazab wo ghar bhi hamara nahin raha

    mazi ki kuchh hasin si yaaden hi rah gain

    aankhon mein aur koi nazara nahin raha

    ahl-e-chaman ye kahte hain aage baDhun 'ghazal'

    ab koi haq chaman ye tumhaara nahin raha

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 412)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now