ab zindagi se jaan chhuDane laga hun main
ab zindagī se jaan chhuḌāne lagā huuñ maiñ
dasht-e-ajal se aañkh milāne lagāne huuñ maiñ
jabr-o-jafā kuchh is tarah sauñpe ga.e mujhe
dekho ye shahr chhoḌ ke jaane lagā huuñ maiñ
maiñ chāhtā huuñ aatī raheñ titliyāñ yahāñ
kāġhaz pe tere hoñT banāne lagā huuñ maiñ
jo chāhte haiñ jaanā ba-sad-shauq jaa.eñ vo
saare ye ab charāġh bujhāne lagā huuñ maiñ
tum dekhnā ki ā.eñge sarkār-e-do-jahāñ
farsh-e-'azā ko aaj bichhāne lagā huuñ maiñ
jis ne ḳhamosh rah ke javānī guzār dī
piñjre se vo parinda uḌāne lagā huuñ maiñ
ab zindagi se jaan chhuDane laga hun main
dasht-e-ajal se aankh milane lagane hun main
jabr-o-jafa kuchh is tarah saunpe gae mujhe
dekho ye shahr chhoD ke jaane laga hun main
main chahta hun aati rahen titliyan yahan
kaghaz pe tere honT banane laga hun main
jo chahte hain jaana ba-sad-shauq jaen wo
sare ye ab charagh bujhane laga hun main
tum dekhna ki aaenge sarkar-e-do-jahan
farsh-e-'aza ko aaj bichhane laga hun main
jis ne KHamosh rah ke jawani guzar di
pinjre se wo parinda uDane laga hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.