abad hone ka tajraba kiya hai
abad hone kā tajraba kiyā hai
us ne sone kā tajraba kiyā hai
tum inheñ bārisheñ samajhte ho
ham ne rone kā tajraba kiyā hai
ye parinda na Dūbtā is ne
par bhigone kā tajraba kiyā hai
us ne nāḳhun baḌhā.e aur ham ne
zaḳhm hone kā tajraba kiyā hai
ek patthar uThā ke chādar meñ
sang Dhone kā tajraba kiyā hai
ham se khelā gayā hai sach-much meñ
yā khilaune kā tajraba kiyā hai
us kī āñkhoñ meñ ham nahīñ Duube
yūñhī khone kā tajraba kiyā hai
abad hone ka tajraba kiya hai
us ne sone ka tajraba kiya hai
tum inhen barishen samajhte ho
hum ne rone ka tajraba kiya hai
ye parinda na Dubta is ne
par bhigone ka tajraba kiya hai
us ne naKHun baDhae aur hum ne
zaKHm hone ka tajraba kiya hai
ek patthar uTha ke chadar mein
sang Dhone ka tajraba kiya hai
hum se khela gaya hai sach-much mein
ya khilaune ka tajraba kiya hai
us ki aankhon mein hum nahin Dube
yunhi khone ka tajraba kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.