abad ka rasta malum ho jaega mujh mein
abad kā rāsta ma.alūm ho jā.egā mujh meñ
koī din āsmāñ mādūm ho jā.egā mujh meñ
sitāre silsila-dar-silsila raushan raheñge
magar ik aa.ina maġhmūm ho jā.egā mujh meñ
koī pūchhegā mujh se raat kī saarī kahānī
koī āvāz se mahrūm ho jā.egā mujh meñ
tilism-e-ḳhvāb bhī khul jā.egā us roz 'ahmad'
ayaañ har baat kā mafhūm ho jā.egā mujh meñ
abad ka rasta malum ho jaega mujh mein
koi din aasman madum ho jaega mujh mein
sitare silsila-dar-silsila raushan rahenge
magar ek aaina maghmum ho jaega mujh mein
koi puchhega mujh se raat ki sari kahani
koi aawaz se mahrum ho jaega mujh mein
tilism-e-KHwab bhi khul jaega us roz 'ahmad'
ayan har baat ka mafhum ho jaega mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.