abad ke tasht mein kuchh phul aur sitare liye
abad ke tasht meñ kuchh phuul aur sitāre liye
ye maiñ huuñ duur se aayā huā tumhāre liye
ajab thī un se mulāqāt par tapāk mirī
vo mere ḳhas-kade meñ aa ga.e sharāre liye
dayār-e-girya kī galiyoñ meñ aisī phislan hai
bashar guzarte haiñ dīvāroñ ke sahāre liye
bichhā ke in ko maiñ chāhe jidhar utar jā.ūñ
ravāñ huuñ naav meñ dariyā ke do kināre liye
bulandī se gire mazmūn kī tarah hai hayāt
luḌhaktī phirtī hai laġhzish ke isti.āre liye
hazār sub.h-e-safar nāshte kī mez pe thī
maiñ garm-e-sair huā nuur ke harāre liye
na jaane abr mirā kis taraf ravāna hai
siyāh raat ke parde meñ barq-pāre liye
ḳhudā se ḳhauf-zada itnā kar diyā gayā thā
ki ham ne saañs bhī duniyā meñ Dar ke maare liye
yahī thī shab jo zamīñ se ga.ī thī nam le kar
ab āsmāñ se chalī aa rahī hai taare liye
bahut sī ḳhud meñ tamāsīl jam.a kar lī haiñ
kuchh apne vāste kuchh ḳhaas kar tumhāre liye
maiñ DhūñD laayā kahīñ se kināya fardā kā
kahīñ se guzre hue vaqt ke ishāre liye
samā.a ke liye sargoshiyāñ uThā laayā
nazar ke vāste fitrat se kuchh nazāre liye
sab ek saath kahīñ lāpata hue 'shāhid'
buland karnī hai kis ne sadā hamāre liye
abad ke tasht mein kuchh phul aur sitare liye
ye main hun dur se aaya hua tumhaare liye
ajab thi un se mulaqat par tapak meri
wo mere KHas-kade mein aa gae sharare liye
dayar-e-girya ki galiyon mein aisi phislan hai
bashar guzarte hain diwaron ke sahaare liye
bichha ke in ko main chahe jidhar utar jaun
rawan hun naw mein dariya ke do kinare liye
bulandi se gire mazmun ki tarah hai hayat
luDhakti phirti hai laghzish ke istiare liye
hazar subh-e-safar nashte ki mez pe thi
main garm-e-sair hua nur ke harare liye
na jaane abr mera kis taraf rawana hai
siyah raat ke parde mein barq-pare liye
KHuda se KHauf-zada itna kar diya gaya tha
ki hum ne sans bhi duniya mein Dar ke mare liye
yahi thi shab jo zamin se gai thi nam le kar
ab aasman se chali aa rahi hai tare liye
bahut si KHud mein tamasil jama kar li hain
kuchh apne waste kuchh KHas kar tumhaare liye
main DhunD laya kahin se kinaya farda ka
kahin se guzre hue waqt ke ishaare liye
samaa ke liye sargoshiyan uTha laya
nazar ke waste fitrat se kuchh nazare liye
sab ek sath kahin lapata hue 'shahid'
buland karni hai kis ne sada hamare liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.