abad se ta-ba-azal aks-e-na-tamam hain hum
abad se tā-ba-azal 'aks-e-nā-tamām haiñ ham
jahāñ ke ā.ina-ḳhāne se intiqām haiñ ham
agar ye naam na hotā to aur bhī hote
hai ek naam hamārā to sirf naam haiñ ham
hamāre chehre kī zardī na dekh aa.ina dekh
tujhe ḳhabar ho tirā rū-e-lāla-fām haiñ ham
namī milī to khulā jal rahe haiñ hoñTh apne
bujhī jo pyaas to samjhe ki tishna-kām haiñ ham
kisī ko jis kī koī ibtidā na mil paa.e
usī fasāna-e-hastī kā iḳhtitām haiñ ham
ham apnī maut se aage nikal chuke kab ke
burāq-e-'umr sivā tujh se barq-gām haiñ ham
bichhaḌne vaale bichhaḌte chale ga.e ham se
kisī ne ye bhī na sochā 'amīr-imām' haiñ ham
abad se ta-ba-azal 'aks-e-na-tamam hain hum
jahan ke aaina-KHane se intiqam hain hum
agar ye nam na hota to aur bhi hote
hai ek nam hamara to sirf nam hain hum
hamare chehre ki zardi na dekh aaina dekh
tujhe KHabar ho tera ru-e-lala-fam hain hum
nami mili to khula jal rahe hain honTh apne
bujhi jo pyas to samjhe ki tishna-kaam hain hum
kisi ko jis ki koi ibtida na mil pae
usi fasana-e-hasti ka iKHtitam hain hum
hum apni maut se aage nikal chuke kab ke
buraq-e-'umr siwa tujh se barq-gam hain hum
bichhaDne wale bichhaDte chale gae hum se
kisi ne ye bhi na socha 'amir-imam' hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.