abas fikr-e-dawa mein hai pareshan chaaragar mera
abas fikr-e-davā meñ hai pareshāñ chārāgar merā
mirā sar jā.egā to jā.egā ye dard-e-sar merā
agar kuchh aarzū dil meñ mire hai to bas itnī hai
tire tīr-e-nazar kī nazr ho jaa.e jigar merā
tire paikān ko dil meñ jagah dī shauq se maiñ ne
kaleja tū ne dekhā ai but-e-bedād-gar merā
vo kahte haiñ ki zid hai ārzūoñ se tirī varna
na ho gar mudda.ā is meñ to dil terā hai ghar merā
maiñ vo āfat-talab huuñ rāt-din merī duā ye hai
ki sar jaa.e to jaa.e par na jaa.e dard-e-sar merā
zarā vo shoḳh ḳhanjar bāñdh kar maqtal meñ aa.e to
nirālā aaj hogā sab se mazmūn-e-kamar merā
idhar pahlū se uTh kar koī jaane par hai āmāda
huā jaatā hai ġham se haal idhar nau-e-digar merā
nikalvāyā gayā jis bazm se sau baar zillat se
vahīñ phir le chalā mujh ko dil-e-vahshat-asar merā
raqīboñ ke chalan ko yuuñ shikāyat sāmne mere
nahīñ hai merī jaañ is chaal se dil be-ḳhabar merā
miTā jaatā hai ab mehr-o-vafā kā naam aalam se
huā jaatā hai duniyā se koī dam meñ safar merā
tirā tīr-e-nazar dekhūñ tasallī kis kī kartā hai
idhar betāb dil merā udhar nālāñ jigar merā
vo un kā vaar ḳhanjar kā lagānā mujh pe tan tan kar
vo honā qatl-gah meñ shauq se sīna-sipar merā
chalāyā naaz se tīr-e-nazar jab us sitamgar ne
nishāna ban gayā kis shauq se 'nashtar' jigar merā
abas fikr-e-dawa mein hai pareshan chaaragar mera
mera sar jaega to jaega ye dard-e-sar mera
agar kuchh aarzu dil mein mere hai to bas itni hai
tere tir-e-nazar ki nazr ho jae jigar mera
tere paikan ko dil mein jagah di shauq se main ne
kaleja tu ne dekha ai but-e-bedad-gar mera
wo kahte hain ki zid hai aarzuon se teri warna
na ho gar muddaa is mein to dil tera hai ghar mera
main wo aafat-talab hun raat-din meri dua ye hai
ki sar jae to jae par na jae dard-e-sar mera
zara wo shoKH KHanjar bandh kar maqtal mein aae to
nirala aaj hoga sab se mazmun-e-kamar mera
idhar pahlu se uTh kar koi jaane par hai aamada
hua jata hai gham se haal idhar nau-e-digar mera
nikalwaya gaya jis bazm se sau bar zillat se
wahin phir le chala mujh ko dil-e-wahshat-asar mera
raqibon ke chalan ko yun shikayat samne mere
nahin hai meri jaan is chaal se dil be-KHabar mera
miTa jata hai ab mehr-o-wafa ka nam aalam se
hua jata hai duniya se koi dam mein safar mera
tera tir-e-nazar dekhun tasalli kis ki karta hai
idhar betab dil mera udhar nalan jigar mera
wo un ka war KHanjar ka lagana mujh pe tan tan kar
wo hona qatl-gah mein shauq se sina-sipar mera
chalaya naz se tir-e-nazar jab us sitamgar ne
nishana ban gaya kis shauq se 'nashtar' jigar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.