abas hai shaKH-e-qad-awar pe aashiyan rakhna
abas hai shāḳh-e-qad-āvar pe āshiyāñ rakhnā
zamīñ ko raas kab aaya hai āsmāñ rakhnā
safar karo ki Thahar jaao ik azaab hai ye
qadam ko hijrat-o-manzil ke darmiyāñ rakhnā
kisī kā shor-e-fuġhāñ sun ke yaad aaya bahut
fasīl-e-ġham meñ mirā dard-e-be-zabāñ rakhnā
khulī fazā meñ to shabnam bhī baar lagtī hai
agar hai tarz-e-kuhan sar pe sā.ebāñ rakhnā
ye log apnī hī dīvār ke naqab-zan haiñ
kabhī na bhuul ke tum ghar kā pāsbāñ rakhnā
hai naav maujoñ kī zad meñ magar hameñ 'ābid'
na aaya bād-e-muḳhālif pe bādbāñ rakhnā
abas hai shaKH-e-qad-awar pe aashiyan rakhna
zamin ko ras kab aaya hai aasman rakhna
safar karo ki Thahar jao ek azab hai ye
qadam ko hijrat-o-manzil ke darmiyan rakhna
kisi ka shor-e-fughan sun ke yaad aaya bahut
fasil-e-gham mein mera dard-e-be-zaban rakhna
khuli faza mein to shabnam bhi bar lagti hai
agar hai tarz-e-kuhan sar pe saeban rakhna
ye log apni hi diwar ke naqab-zan hain
kabhi na bhul ke tum ghar ka pasban rakhna
hai naw maujon ki zad mein magar hamein 'abid'
na aaya baad-e-muKHalif pe baadban rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.