abas nahin koi aansu nadamat-e-shab ka
abas nahīñ koī aañsū nadāmat-e-shab kā
ye āftāb sila hai riyāzat-e-shab kā
hamārī aañkh meñ aa.e tumhāre naam ke ḳhvāb
hameñ savāb milā hai ibādat-e-shab kā
ye āsmān pe laalī nahīñ savere kī
lahūluhān badan hai masāfat-e-shab kā
nigāh rakhnī paḌegī charāġh kī lau par
ḳhayāl rakhnā paḌegā zarūrat-e-shab kā
is imtihān meñ āñkheñ halāk hotī haiñ
halaf uThā to liyā hai hifāzat-e-shab kā
fasīl-e-chashm se bāhar nikal gayā aañsū
farār ho gayā qaidī hirāsat-e-shab kā
isī liye hai charāġhoñ pe mutma.in duniyā
use pata nahīñ shāyad tabī.at-e-shab kā
abas nahin koi aansu nadamat-e-shab ka
ye aaftab sila hai riyazat-e-shab ka
hamari aankh mein aae tumhaare nam ke KHwab
hamein sawab mila hai ibaadat-e-shab ka
ye aasman pe lali nahin sawere ki
lahuluhan badan hai masafat-e-shab ka
nigah rakhni paDegi charagh ki lau par
KHayal rakhna paDega zarurat-e-shab ka
is imtihan mein aankhen halak hoti hain
halaf uTha to liya hai hifazat-e-shab ka
fasil-e-chashm se bahar nikal gaya aansu
farar ho gaya qaidi hirasat-e-shab ka
isi liye hai charaghon pe mutmain duniya
use pata nahin shayad tabiat-e-shab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.