abhi aai thi KHwabon mein gai kya
abhī aa.ī thī ḳhvāboñ meñ ga.ī kyā
junūñ merā hai us kī āgahī kyā
mohabbat aarzī hai hai to hogī
mujhe duniyā milī hai dā.imī kyā
chalo maujoñ meñ ghar karnā sikhā.eñ
ki sāhil-āshnā ye zindagī kyā
tirī majbūriyoñ se pūchhnā hai
ye tum hañstī ho apnī hī hañsī kyā
idhar dīvāreñ saarī gir chukī haiñ
udhar raste meñ duniyā aa ga.ī kyā
lo pachchhim se nikal aaya hai sūraj
to kyā vo phir se merī ho ga.ī kyā
are o jubba-o-dastār vaalo
riyā-kārī huī hai bandagī kyā
maiñ chalne kī hī koshish meñ girā huuñ
mire hāthoñ se qismat bhī girī kyā
na merā rāsta hai aur na manzil
mire allāh mujh meñ hai kamī kyā
zabāñ to hai mirī tahzīb lekin
adab hī mar chukā to shā.erī kyā
abhi aai thi KHwabon mein gai kya
junun mera hai us ki aagahi kya
mohabbat aarzi hai hai to hogi
mujhe duniya mili hai daimi kya
chalo maujon mein ghar karna sikhaen
ki sahil-ashna ye zindagi kya
teri majburiyon se puchhna hai
ye tum hansti ho apni hi hansi kya
idhar diwaren sari gir chuki hain
udhar raste mein duniya aa gai kya
lo pachchhim se nikal aaya hai suraj
to kya wo phir se meri ho gai kya
are o jubba-o-dastar walo
riya-kari hui hai bandagi kya
main chalne ki hi koshish mein gira hun
mere hathon se qismat bhi giri kya
na mera rasta hai aur na manzil
mere allah mujh mein hai kami kya
zaban to hai meri tahzib lekin
adab hi mar chuka to shaeri kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.