abhi abhi tha tabassum abhi hijab mein hai
abhī abhī thā tabassum abhī hijāb meñ hai
zamāne bhar kā talavvun tire shabāb meñ hai
zamīr-e-lauh-o-qalam jis se pech-o-tāb meñ hai
vo raaz mere dil-e-ḳhānumāñ-ḳharāb meñ hai
tasavvur us kā mire dīda-e-pur-āb meñ hai
jo be-hijāb bhī ho kar abhī hijāb meñ hai
nigāh-e-husn se azal jau kaundī thī
vo barq dekh mire sāġhar-e-sharāb meñ hai
bas ek sabza-e-begāna par nahīñ mauqūf
ye vo chaman hai jahāñ zarra zarra ḳhvāb meñ hai
likhā thā kilk-e-azal ne jo husn-o-mastī par
vo tabsira bhī tirī chashm-e-nīm-ḳhvāb meñ hai
bilittifāq tum ab ban ga.e na markaz-e-husn
yahī to baat mire husn-e-intiḳhāb meñ hai
ḳhayāl-e-tark-e-mohabbat durust 'faiz' magar
maiñ pūchhtā huuñ ye imkān āñ-janāb meñ hai
abhi abhi tha tabassum abhi hijab mein hai
zamane bhar ka talawwun tere shabab mein hai
zamir-e-lauh-o-qalam jis se pech-o-tab mein hai
wo raaz mere dil-e-KHanuman-KHarab mein hai
tasawwur us ka mere dida-e-pur-ab mein hai
jo be-hijab bhi ho kar abhi hijab mein hai
nigah-e-husn se azal jau kaundi thi
wo barq dekh mere saghar-e-sharab mein hai
bas ek sabza-e-begana par nahin mauquf
ye wo chaman hai jahan zarra zarra KHwab mein hai
likha tha kilk-e-azal ne jo husn-o-masti par
wo tabsira bhi teri chashm-e-nim-KHwab mein hai
bilittifaq tum ab ban gae na markaz-e-husn
yahi to baat mere husn-e-intiKHab mein hai
KHayal-e-tark-e-mohabbat durust 'faiz' magar
main puchhta hun ye imkan aan-janab mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.