abhi abhi thi labon par hansi abhi na rahi
abhi abhi thi labon par hansi abhi na rahi
Niyaz Ali Niyaz Qaisri
MORE BYNiyaz Ali Niyaz Qaisri
abhī abhī thī laboñ par hañsī abhī na rahī
banī thī baat muqaddar se jo banī na rahī
bahār aa.ī gulistāñ meñ dilkashī na rahī
nikhār phūloñ meñ kaliyoñ meñ tāzgī na rahī
kudūratoñ ko miTāo ḳhulūs-e-dil se milo
bharosa ziist kā kyā hai rahī rahī na rahī
umīd-o-yās ke ghar meñ rahā qayām apnā
chale safar pe to ummīd-e-vāpsī na rahī
uThā ke ā.īna dekho zarā jamāl apnā
tumhāre husn meñ pahlī sī dilkashī na rahī
nazar milā.ī jo un se to ai 'niyāz' lagā
mizāj-e-yār meñ pahlī sī barhamī na rahī
abhi abhi thi labon par hansi abhi na rahi
bani thi baat muqaddar se jo bani na rahi
bahaar aai gulistan mein dilkashi na rahi
nikhaar phulon mein kaliyon mein tazgi na rahi
kuduraton ko miTao KHulus-e-dil se milo
bharosa zist ka kya hai rahi rahi na rahi
umid-o-yas ke ghar mein raha qayam apna
chale safar pe to ummid-e-wapsi na rahi
uTha ke aaina dekho zara jamal apna
tumhaare husn mein pahli si dilkashi na rahi
nazar milai jo un se to ai 'niyaz' laga
mizaj-e-yar mein pahli si barhami na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.