abhi abhi wahi naghma abhi abhi matam
abhī abhī vahī naġhma abhī abhī mātam
abhī abhī vahī sho.ala abhī abhī shabnam
ye bū-e-gul ye salāsil ke shor kā aalam
bahut qarīb hai shāyad bahār kā mausam
musāfirān-e-mohabbat duā.eñ dete haiñ
ki sham-e-rāh banā hai hamārā naqsh-e-qadam
vo iqtizā-e-mohabbat bhī ḳhuub thā ai dost
ki be-ḳhudī meñ bhī rakhnā paḌā ḳhudī kā bharam
nazar tamām mohabbat badan tamām kashish
ruḳh-e-sabīh kī ra.anā.iyāñ tamām iram
qarār us ko bhī 'nāzim' zarā nasīb nahīñ
mire junūn-e-tajassus kā dekhiye aalam
abhi abhi wahi naghma abhi abhi matam
abhi abhi wahi shoala abhi abhi shabnam
ye bu-e-gul ye salasil ke shor ka aalam
bahut qarib hai shayad bahaar ka mausam
musafiran-e-mohabbat duaen dete hain
ki sham-e-rah bana hai hamara naqsh-e-qadam
wo iqtiza-e-mohabbat bhi KHub tha ai dost
ki be-KHudi mein bhi rakhna paDa KHudi ka bharam
nazar tamam mohabbat badan tamam kashish
ruKH-e-sabih ki ranaiyan tamam iram
qarar us ko bhi 'nazim' zara nasib nahin
mere junun-e-tajassus ka dekhiye aalam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.