abhi baqi sharm thoDi haya hai
abhī baaqī sharm thoḌī hayā hai
suḳhan apnā ki dekho sab nayā hai
safīne duur haiñ vaqtan-favaqtan
ye aadam ruk gayā yā chal rahā hai
o pāgal siidh meñ rasta nahīñ hai
usī kā dard hai jis kī davā hai
mubārak chiiz hai insāñ hameñ bhī
kabhī Tuk hans rahā Tuk ro rahā hai
hamārā dil bhī hai andar to jhāñko
ye chehra shaam se hī ḳhush baḌā hai
balā kā zaḳhm hai kuchh kam tamāshā
suno to sher ik taaza likhā hai
abān-e-kushta ġham achchhī sunāo
yahāñ maiñ huuñ qalam hai aur ḳhudā hai
abhi baqi sharm thoDi haya hai
suKHan apna ki dekho sab naya hai
safine dur hain waqtan-fawaqtan
ye aadam ruk gaya ya chal raha hai
o pagal sidh mein rasta nahin hai
usi ka dard hai jis ki dawa hai
mubarak chiz hai insan hamein bhi
kabhi Tuk hans raha Tuk ro raha hai
hamara dil bhi hai andar to jhanko
ye chehra sham se hi KHush baDa hai
bala ka zaKHm hai kuchh kam tamasha
suno to sher ek taza likha hai
aban-e-kushta gham achchhi sunao
yahan main hun qalam hai aur KHuda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.