abhi bujho na sitaro zara Thahar jao
abhī bujho na sitāro zarā Thahar jaao
ai merī aañkh ke taaro zarā Thahar jaao
huuñ sar pe bojh liye zindagī kā kab se khaḌā
ye merā bojh utāro zarā Thahar jaao
chale ho tum bhī bahut pāniyoñ ke saath magar
thake thake se kināro zarā Thahar jaao
luTī huī sī ye mahfil bhī tum se jaag uThe
luTe hue se sahāro zarā Thahar jaao
vo jis ke naam hamārī ye chand sāñseñ haiñ
use kahīñ se pukāro zarā Thahar jaao
hai phir se ḳhuuñ kī zarūrat mire qabīle ko
ai dil mujhī ko pukāro zarā Thahar jaao
ye jānte haiñ ki 'zaryāb' phir ḳhizāñ hogī
zarā sā vaqt bahāro zarā Thahar jaao
abhi bujho na sitaro zara Thahar jao
ai meri aankh ke taro zara Thahar jao
hun sar pe bojh liye zindagi ka kab se khaDa
ye mera bojh utaro zara Thahar jao
chale ho tum bhi bahut paniyon ke sath magar
thake thake se kinaro zara Thahar jao
luTi hui si ye mahfil bhi tum se jag uThe
luTe hue se sahaaro zara Thahar jao
wo jis ke nam hamari ye chand sansen hain
use kahin se pukaro zara Thahar jao
hai phir se KHun ki zarurat mere qabile ko
ai dil mujhi ko pukaro zara Thahar jao
ye jaante hain ki 'zaryab' phir KHizan hogi
zara sa waqt bahaaro zara Thahar jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.