abhi chaman abhi gul bas yahi saman dekha
abhī chaman abhī gul bas yahī samāñ dekhā
qafas ko bhī mirī āñkhoñ ne āshiyāñ dekhā
qafas ko dekh ke jab sū-e-āshiyāñ dekhā
zamīñ se charḳh tak uThtā huā dhuāñ dekhā
jo kah ke lafz-e-vafā chup rahā to vo bole
kahāñ se chhoḌ dī zālim ne dāstāñ dekhā
taḌap ke aap hī bāhar thā aap parde ke
nigāh-e-yās se yuuñ sū-e-pāsbāñ dekhā
na pūchh dasht-e-tamannā kī vārdāt na pūchh
har ek zarre ke parde meñ āsmāñ dekhā
taḌap naqāb kī thī yā jhalak thī parde kī
abhī kalīm ne jalva tirā kahāñ dekhā
chhupe the abr kī rag rag meñ taar bijlī ke
bharī bahār meñ jab sū-e-asmāñ dekhā
abhi chaman abhi gul bas yahi saman dekha
qafas ko bhi meri aankhon ne aashiyan dekha
qafas ko dekh ke jab su-e-ashiyan dekha
zamin se charKH tak uThta hua dhuan dekha
jo kah ke lafz-e-wafa chup raha to wo bole
kahan se chhoD di zalim ne dastan dekha
taDap ke aap hi bahar tha aap parde ke
nigah-e-yas se yun su-e-pasban dekha
na puchh dasht-e-tamanna ki wardat na puchh
har ek zarre ke parde mein aasman dekha
taDap naqab ki thi ya jhalak thi parde ki
abhi kalim ne jalwa tera kahan dekha
chhupe the abr ki rag rag mein tar bijli ke
bhari bahaar mein jab su-e-asman dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.