abhi hai mausam ghamon ka lekin main muskuraun to harj kya hai
abhi hai mausam ghamon ka lekin main muskuraun to harj kya hai
Shadab Anjum
MORE BYShadab Anjum
abhī hai mausam ġhamoñ kā lekin maiñ muskurā.ūñ to harj kyā hai
ki nauha-ḳhvānī ke daur meñ ik ġhazal sunā.ūñ to harj kyā hai
dikhānā hai āftāb ko ye ki kaun hai merī shab kā sāthī
maiñ shaam hone se qabl hī ik diyā jalā.ūñ to harj kyā hai
hai diqqatoñ se bharā safar jab nahīñ hai koī bhī saath mere
to apne saa.e ko maiñ agar ham-safar banā.ūñ to harj kyā hai
lagī haiñ pābandiyāñ mulāqāt par ye sach hai ka.ī dinoñ se
magar maiñ rātoñ ko tere ḳhvāboñ meñ aa.uuñ jā.ūñ to harj kyā hai
zamāna pichhle zamāne ko yaad kar ke rahtā hai khoyā khoyā
magar maiñ agle dinoñ kī fikroñ meñ Duub jā.ūñ to harj kyā hai
farebī hai ye zamāna mujh ko hamesha detā rahā hai dhokā
agar maiñ ḳhud se hī aaj 'anjum' fareb khā.ūñ to harj kyā hai
abhi hai mausam ghamon ka lekin main muskuraun to harj kya hai
ki nauha-KHwani ke daur mein ek ghazal sunaun to harj kya hai
dikhana hai aaftab ko ye ki kaun hai meri shab ka sathi
main sham hone se qabl hi ek diya jalaun to harj kya hai
hai diqqaton se bhara safar jab nahin hai koi bhi sath mere
to apne sae ko main agar ham-safar banaun to harj kya hai
lagi hain pabandiyan mulaqat par ye sach hai kai dinon se
magar main raaton ko tere KHwabon mein aaun jaun to harj kya hai
zamana pichhle zamane ko yaad kar ke rahta hai khoya khoya
magar main agle dinon ki fikron mein Dub jaun to harj kya hai
farebi hai ye zamana mujh ko hamesha deta raha hai dhoka
agar main KHud se hi aaj 'anjum' fareb khaun to harj kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.