abhi husn KHud se hai be-KHabar abhi ishq bhi hai nihan nihan
abhi husn KHud se hai be-KHabar abhi ishq bhi hai nihan nihan
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
abhī husn ḳhud se hai be-ḳhabar abhī ishq bhī hai nihāñ nihāñ
na haiñ qisse rāz-o-niyāz ke na fasāne dil ke zabāñ zabāñ
kabhī bhuul saktā huuñ ham-nashīñ vo nigāh-e-ulfat-e-avvalīñ
vo samāñ thā kitnā hasīñ hasīñ thī vo shab bhī kitnī javāñ javāñ
tire ishq ne mujhe kar diyā ġham-e-do-jahāñ se hī be-niyāz
ki meñ ḳhār-zār-e-hayāt se bhī guzar rahā huuñ ravāñ ravāñ
mire dil kā haal jo ho so ho tire lab kā ġhuncha khilā rahe
rahe girtī nazroñ kī bijliyāñ mirā chāhe kāñpe ruvāñ ruvāñ
kabhī jañgaloñ meñ bhaTak ga.e kabhī sair kī hai chaman chaman
tirī yaad dard kasak magar rahī saath saath yahāñ vahāñ
na haram meñ terā nishāñ milā na sanam-kade meñ koī pata
ki na jaane terī talāsh meñ maiñ phirā bhaTaktā kahāñ kahāñ
tire husn-e-sabr-gudāz kī nahīñ taab is dil-e-zār ko
mirā bah gayā vo ġhurūr-e-ishq maiñ rahā huuñ kitnā kashāñ kashāñ
ye tirī ne badal diye mire rāste mirī manzileñ
ye jahāñ jahāñ mujhe le chalī maiñ chalā 'habīb' vahāñ vahāñ
abhi husn KHud se hai be-KHabar abhi ishq bhi hai nihan nihan
na hain qisse raaz-o-niyaz ke na fasane dil ke zaban zaban
kabhi bhul sakta hun ham-nashin wo nigah-e-ulfat-e-awwalin
wo saman tha kitna hasin hasin thi wo shab bhi kitni jawan jawan
tere ishq ne mujhe kar diya gham-e-do-jahan se hi be-niyaz
ki mein KHar-zar-e-hayat se bhi guzar raha hun rawan rawan
mere dil ka haal jo ho so ho tere lab ka ghuncha khila rahe
rahe girti nazron ki bijliyan mera chahe kanpe ruwan ruwan
kabhi jangalon mein bhaTak gae kabhi sair ki hai chaman chaman
teri yaad dard kasak magar rahi sath sath yahan wahan
na haram mein tera nishan mila na sanam-kade mein koi pata
ki na jaane teri talash mein main phira bhaTakta kahan kahan
tere husn-e-sabr-gudaz ki nahin tab is dil-e-zar ko
mera bah gaya wo ghurur-e-ishq main raha hun kitna kashan kashan
ye teri ne badal diye mere raste meri manzilen
ye jahan jahan mujhe le chali main chala 'habib' wahan wahan
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 46)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.