abhi is qissa-e-gham ko na tum chheDo na hum chheDen
abhī is qissa-e-ġham ko na tum chheḌo na ham chheḌeñ
marīz-e-'ishq-e-be-dam ko na tum chheḌo na ham chheḌeñ
gulistān-e-mohabbat par kohar sā chhā gayā jaise
guloñ pe raqs-e-shabnam ko na tum chheḌo na ham chheḌeñ
mohabbat ke fasāne kā bhalā anjām kyā hogā
abhī is fikr-e-bāham ko na tum chheḌo na ham chheḌeñ
udāsī kā ghanā saaya hai us mā'sūm chehre par
haañ us kī zulf ke ḳham ko na tum chheḌo na ham chheḌeñ
añdherī raat meñ phir se qayāmat Dhā rahā hai vo
nadī meñ 'aks-e-'māham' ko na tum chheḌo na ham chheḌeñ
abhi is qissa-e-gham ko na tum chheDo na hum chheDen
mariz-e-'ishq-e-be-dam ko na tum chheDo na hum chheDen
gulistan-e-mohabbat par kohar sa chha gaya jaise
gulon pe raqs-e-shabnam ko na tum chheDo na hum chheDen
mohabbat ke fasane ka bhala anjam kya hoga
abhi is fikr-e-baham ko na tum chheDo na hum chheDen
udasi ka ghana saya hai us ma'sum chehre par
han us ki zulf ke KHam ko na tum chheDo na hum chheDen
andheri raat mein phir se qayamat Dha raha hai wo
nadi mein 'aks-e-'maham' ko na tum chheDo na hum chheDen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.