abhi ji-bhar ke pi lo phir na ye mausam badal jae

abhi ji-bhar ke pi lo phir na ye mausam badal jae
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
abhī jī-bhar ke pī lo phir na ye mausam badal jaa.e
na jaane ye parī phir kaun se shīshe meñ Dhal jaa.e
bahut samjhā-bujhā kar raah par laa.e haiñ is dil ko
kahīñ zālim na phir koī nirālī chaal chal jaa.e
du'āoñ se mile bhī kuchh to shāyad maut miltī hai
ye vo jaadū nahīñ jo zindagī ke sar pe chal jaa.e
junūñ le kar chalā hai mujh ko phir kū-e-harīfāñ meñ
jo baaqī rah gayā hai ab vo kāñTā bhī nikal jaa.e
vo rasman hī sahī lekin ḳhabar lete raho us kī
dil āḳhir dil hai kyā jaane kahāñ jā kar bahal jaa.e
abhi ji-bhar ke pi lo phir na ye mausam badal jae
na jaane ye pari phir kaun se shishe mein Dhal jae
bahut samjha-bujha kar rah par lae hain is dil ko
kahin zalim na phir koi nirali chaal chal jae
du'aon se mile bhi kuchh to shayad maut milti hai
ye wo jadu nahin jo zindagi ke sar pe chal jae
junun le kar chala hai mujh ko phir ku-e-harifan mein
jo baqi rah gaya hai ab wo kanTa bhi nikal jae
wo rasman hi sahi lekin KHabar lete raho us ki
dil aaKHir dil hai kya jaane kahan ja kar bahal jae
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 92)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.