abhi kami hai bahut tujh mein dekh aisa kar
abhī kamī hai bahut tujh meñ dekh aisā kar
kisī buzurg ke saa.e meñ roz baiThā kar
shuā-e-mahr basārat ko chhīn letī hai
nazar uThā ke na sūraj kī samt dekhā kar
mujhe yaqīñ hai ki jā kar bhī lauT aa.egā
hazār baar bichhaḌne kā tū irāda kar
chamak rahe haiñ añdhere meñ kāñch ke TukḌe
tujhe dikhā.ī na deñge zarā ujālā kar
bajā ki hissa-e-haq bhī na mil sakā lekin
'asar' udaas na ho apnā dil kushāda kar
abhi kami hai bahut tujh mein dekh aisa kar
kisi buzurg ke sae mein roz baiTha kar
shua-e-mahr basarat ko chhin leti hai
nazar uTha ke na suraj ki samt dekha kar
mujhe yaqin hai ki ja kar bhi lauT aaega
hazar bar bichhaDne ka tu irada kar
chamak rahe hain andhere mein kanch ke TukDe
tujhe dikhai na denge zara ujala kar
baja ki hissa-e-haq bhi na mil saka lekin
'asar' udas na ho apna dil kushada kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.