abhi kya umr hai meri wafa ki
abhī kyā umr hai merī vafā kī
darāzī chāhiye zulf-e-rasā kī
kalī murjhā ga.ī marzī ḳhudā kī
bahut shabnam ne ro ro ke duā kī
dar-e-pīr-e-muġhāñ allāhu-akbar
barastī hai jahāñ rahmat ḳhudā kī
zarā kar but-kade kī sair vaa.iz
nazar aane lage qudrat ḳhudā kī
koī us ke sivā ho bhī to ai shaiḳh
zarūrat kyā hai tark-e-mā-sivā kī
jo dekhī mere vīrāne kī raunaq
to āñkheñ khul ga.iiñ bād-e-sabā kī
banegī ek din apnī misāl aap
vafādārī 'shafīq'-e-mubtalā kī
abhi kya umr hai meri wafa ki
daraazi chahiye zulf-e-rasa ki
kali murjha gai marzi KHuda ki
bahut shabnam ne ro ro ke dua ki
dar-e-pir-e-mughan allahu-akbar
barasti hai jahan rahmat KHuda ki
zara kar but-kade ki sair waiz
nazar aane lage qudrat KHuda ki
koi us ke siwa ho bhi to ai shaiKH
zarurat kya hai tark-e-ma-siwa ki
jo dekhi mere virane ki raunaq
to aankhen khul gain baad-e-saba ki
banegi ek din apni misal aap
wafadari 'shafiq'-e-mubtala ki
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 289)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.