abhi na chheD mere dil ke tar rahne de
abhī na chheḌ mire dil ke taar rahne de
abhī sukūñ se ġham-e-hijr-e-yār rahne de
ġhalat hai jhuuT hai ilzām hai ye tohmat hai
na bevafā mujhe kah kar pukār rahne de
judā na hogī mire dil se yaad ab us kī
miTegā dil se na ġham ġham-gusār rahne de
parinde pyaas meñ paanī talāsh karte haiñ
nahīñ nahīñ na kar un kā shikār rahne de
hai kitnā dil meñ tire jazba-e-vafādārī
mujhe ḳhabar hai taġhāful-shi.ār rahne de
kuchh us ke rahm-o-karam kī bhī baat kar zāhid
ye zikr-e-qahr-e-ḳhudā baar baar rahne de
ye āsmāñ ke sitāroñ se kam nahīñ 'shahzar'
na hoñge zaḳhm jigar ke shumār rahne de
abhi na chheD mere dil ke tar rahne de
abhi sukun se gham-e-hijr-e-yar rahne de
ghalat hai jhuT hai ilzam hai ye tohmat hai
na bewafa mujhe kah kar pukar rahne de
juda na hogi mere dil se yaad ab us ki
miTega dil se na gham gham-gusar rahne de
parinde pyas mein pani talash karte hain
nahin nahin na kar un ka shikar rahne de
hai kitna dil mein tere jazba-e-wafadari
mujhe KHabar hai taghaful-shiar rahne de
kuchh us ke rahm-o-karam ki bhi baat kar zahid
ye zikr-e-qahr-e-KHuda bar bar rahne de
ye aasman ke sitaron se kam nahin 'shahzar'
na honge zaKHm jigar ke shumar rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.