abhi na kijiye zahmat naqab uThane ki
abhī na kījiye zahmat naqāb uThāne kī
nazar meñ taab nahīñ hai nazar milāne kī
hamāre haath meñ bas ik tumhārā dāman hai
tumhāre haath meñ taqdīr hai zamāne kī
hamāre pahle tumheñ kaun sar jhukātā thā
hamīñ ne rasm nikālī hai sar jhukāne kī
hujūm-e-barq bhī aa kar qarīb lauT ga.ī
kamāl kar ga.ī taqdīr āshiyāne kī
chaman meñ apne nasheman kī zindagī kitnī
rakhī hai barq pe buniyād āshiyāne kī
nigāh-e-nāz vahāñ aasrā diyā tū ne
jahāñ umiid thī kashtī ke Duub jaane kī
chamak hī jāoge duniyā meñ ek din 'nayyar'
ġhulāmī karte raho un ke āstāne kī
abhi na kijiye zahmat naqab uThane ki
nazar mein tab nahin hai nazar milane ki
hamare hath mein bas ek tumhaara daman hai
tumhaare hath mein taqdir hai zamane ki
hamare pahle tumhein kaun sar jhukata tha
hamin ne rasm nikali hai sar jhukane ki
hujum-e-barq bhi aa kar qarib lauT gai
kamal kar gai taqdir aashiyane ki
chaman mein apne nasheman ki zindagi kitni
rakhi hai barq pe buniyaad aashiyane ki
nigah-e-naz wahan aasra diya tu ne
jahan umid thi kashti ke Dub jaane ki
chamak hi jaoge duniya mein ek din 'nayyar'
ghulami karte raho un ke aastane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.