abhi naKHl-e-dil mein khilawaT bahut hai
abhī naḳhl-e-dil meñ khilāvaT bahut hai
mujhe ab bhī tum se lagāvaT bahut hai
na surḳhī na ġhāza na kājal na gajrā
tirī sādgī meñ sajāvaT bahut hai
kabhī film-nagrī se mar.ūb mat ho
ki is meñ mukammal banāvaT bahut hai
baḌī purkashish guftugū hai zabāñ par
magar dil meñ un ke girāvaT bahut hai
na sehat banegī na tāqat milegī
davā meñ ġhizā meñ milāvaT bahut hai
ye ilm aur tahqīq ke mashġhaloñ meñ
na mahsūs hotī thakāvaT bahut hai
parā.e hī baḌh kar mire kaam aa.e
ab apnoñ meñ 'nādir' rukāvaT bahut hai
abhi naKHl-e-dil mein khilawaT bahut hai
mujhe ab bhi tum se lagawaT bahut hai
na surKHi na ghaza na kajal na gajra
teri sadgi mein sajawaT bahut hai
kabhi film-nagri se marub mat ho
ki is mein mukammal banawaT bahut hai
baDi purkashish guftugu hai zaban par
magar dil mein un ke girawaT bahut hai
na sehat banegi na taqat milegi
dawa mein ghiza mein milawaT bahut hai
ye ilm aur tahqiq ke mashghalon mein
na mahsus hoti thakawaT bahut hai
parae hi baDh kar mere kaam aae
ab apnon mein 'nadir' rukawaT bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.