abhi raushan hui hain mere ghar ki battiyan mujhse
abhī raushan huī haiñ mere ghar kī battiyāñ mujh se
havā phir le na jaa.e chhīn kar parchhā.iyāñ mujh se
karūñ āñkhoñ se nam miTTī ḳhalāoñ phuul raste meñ
taqāzā kar rahī haiñ ḳhvāhishoñ kī bastiyāñ mujh se
ye roz-o-shab ke hañgāme dar-o-dīvār ke andar
batā.ūñ kyā sulajhtī hī nahīñ ab gutthiyāñ mujh se
kisī se muskurā kar baat kar letā huuñ maiñ jab bhī
na jaane kyoñ ḳhafā rahtī haiñ terī khiḌkiyāñ mujh se
ye tanhā.ī kā mausam bhī dabe paañv guzar jaatā
agar yādeñ kisī kī baañT letīñ talḳhiyāñ mujh se
vo barfīle badan ke saath milne jab bhī aatā hai
churā letā hai mere ḳhuun kī sab garmiyāñ mujh se
parinda ek din uḌ jā.egā TūTegī Tahnī bhī
yahī kahtī haiñ phūloñ kī bikhartī patiyāñ mujh se
akelā maiñ jo ghar lauTā to phir kaise batā.ūñgā
ḳhudā.ī kā sabab pūchheñgī jab tanhā.iyāñ mujh se
abhi raushan hui hain mere ghar ki battiyan mujh se
hawa phir le na jae chhin kar parchhaiyan mujh se
karun aankhon se nam miTTi KHalaon phul raste mein
taqaza kar rahi hain KHwahishon ki bastiyan mujh se
ye roz-o-shab ke hangame dar-o-diwar ke andar
bataun kya sulajhti hi nahin ab gutthiyan mujh se
kisi se muskura kar baat kar leta hun main jab bhi
na jaane kyon KHafa rahti hain teri khiDkiyan mujh se
ye tanhai ka mausam bhi dabe panw guzar jata
agar yaaden kisi ki banT letin talKHiyan mujh se
wo barfile badan ke sath milne jab bhi aata hai
chura leta hai mere KHun ki sab garmiyan mujh se
parinda ek din uD jaega TuTegi Tahni bhi
yahi kahti hain phulon ki bikharti patiyan mujh se
akela main jo ghar lauTa to phir kaise bataunga
KHudai ka sabab puchhengi jab tanhaiyan mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.