abhi ruThi hui hai par yahi taswir bolegi
abhī rūThī huī hai par yahī tasvīr bolegī
yaqīnan ek din ham se hamārī hiir bolegī
mire dushman abhī hai vaqt to samjhā rahā huuñ maiñ
agar maiñ chup huā to phir mirī shamshīr bolegī
are nādān duniyā meñ tirā kirdār bolegā
ye kis ne kah diyā tujh se tirī jāgīr bolegī
miyāñ qismat ko rone se yahāñ kuchh bhī nahīñ hogā
yahāñ tadbīr se insān kī taqdīr bolegī
vafā ke naam par sāhab hamārā muñh na khulvāo
agar bolī zabāñ to phir misāl-e-tīr bolegī
libās-e-jism phaT jaa.e mirī gardan bhī kaT jaa.e
magar ye ruuh phir bhī nāra-e-takbīr bolegī
zabāñ bole yā na bole magar 'sājid' zamāne meñ
jo likh kar chhoḌ jā.ūñgā vahī tahrīr bolegī
abhi ruThi hui hai par yahi taswir bolegi
yaqinan ek din hum se hamari hir bolegi
mere dushman abhi hai waqt to samjha raha hun main
agar main chup hua to phir meri shamshir bolegi
are nadan duniya mein tera kirdar bolega
ye kis ne kah diya tujh se teri jagir bolegi
miyan qismat ko rone se yahan kuchh bhi nahin hoga
yahan tadbir se insan ki taqdir bolegi
wafa ke nam par sahab hamara munh na khulwao
agar boli zaban to phir misal-e-tir bolegi
libas-e-jism phaT jae meri gardan bhi kaT jae
magar ye ruh phir bhi nara-e-takbir bolegi
zaban bole ya na bole magar 'sajid' zamane mein
jo likh kar chhoD jaunga wahi tahrir bolegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.