abhi se naqsh-e-hairat ban gae kya dekhne wale
abhi se naqsh-e-hairat ban gae kya dekhne wale
Rashid Shahjahanpuri
MORE BYRashid Shahjahanpuri
abhī se naqsh-e-hairat ban ga.e kyā dekhne vaale
tajallī chāhne vaale tamāshā dekhne vaale
nahīñ kam josh-e-vahshat kā tamāshā dekhne vaale
junūñ to ḳhud hī kar letā hai paidā dekhne vaale
lihāz-e-tāb-e-dil ai be-mahābā dekhne vaale
pashemāñ bhī hue haiñ un kā jalva dekhne vaale
sadā-e-lan-tarānī ab salā-e-manyarānī hai
kareñ tāb-e-dil-o-dīda muhayyā dekhne vaale
dil-e-nazzāra jo sadqe tirī shān-e-tajallī par
ba-har-sūrat haiñ mahrūm-e-tamāshā dekhne vaale
abas hai dīda-o-dil ko gila be-iltifātī kā
abhī haiñ nā-shanās-e-ramz-o-īmā dekhne vaale
'rashīd' āḳhir karūñ kis kis se sharh-e-ibtilā-e-dil
na kar luuñ jam.a kyoñ misl-e-zuleḳhā dekhne vaale
abhi se naqsh-e-hairat ban gae kya dekhne wale
tajalli chahne wale tamasha dekhne wale
nahin kam josh-e-wahshat ka tamasha dekhne wale
junun to KHud hi kar leta hai paida dekhne wale
lihaz-e-tab-e-dil ai be-mahaba dekhne wale
pasheman bhi hue hain un ka jalwa dekhne wale
sada-e-lan-tarani ab sala-e-manyarani hai
karen tab-e-dil-o-dida muhayya dekhne wale
dil-e-nazzara jo sadqe teri shan-e-tajalli par
ba-har-surat hain mahrum-e-tamasha dekhne wale
abas hai dida-o-dil ko gila be-iltifati ka
abhi hain na-shanas-e-ramz-o-ima dekhne wale
'rashid' aaKHir karun kis kis se sharh-e-ibtila-e-dil
na kar lun jama kyon misl-e-zuleKHa dekhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.