Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi se shikwa-e-ghaflat-shiar kya hoga

Raunaq Badauni

abhi se shikwa-e-ghaflat-shiar kya hoga

Raunaq Badauni

MORE BYRaunaq Badauni

    abhī se shikva-e-ġhaflat-shi.ār kyā hogā

    ye ibtidā hai to anjām-e-kār kyā hogā

    rah-e-hayāt meñ vo kāmgār kyā hogā

    jo sochtā hai ki anjām-e-kār kyā hogā

    adāvatoñ ke añdhere haiñ ranj-o-ġham dhuup

    yahī raheñge jo lail-o-nahār kyā hogā

    ḳhushī manāo masarrat ke chand lamhe haiñ

    ye bhuul jaao ki bād-az-bahār kyā hogā

    ġham-e-habīb se dāman chhuḌā liyā jaa.e

    to phir ilāj-e-ġham-e-rozgār kyā hogā

    vo ek shāi.r-e-āzam ki naam thā 'jāmī'

    ab us koī haqīqat-nigār kyā hogā

    shab-e-firāq to ro ro ke kaaT 'raunaq'

    ab aa rahī hai shab-e-intizār kyā hogā

    abhi se shikwa-e-ghaflat-shiar kya hoga

    ye ibtida hai to anjam-e-kar kya hoga

    rah-e-hayat mein wo kaamgar kya hoga

    jo sochta hai ki anjam-e-kar kya hoga

    adawaton ke andhere hain ranj-o-gham ki dhup

    yahi rahenge jo lail-o-nahaar kya hoga

    KHushi manao masarrat ke chand lamhe hain

    ye bhul jao ki baad-az-bahaar kya hoga

    gham-e-habib se daman chhuDa liya jae

    to phir ilaj-e-gham-e-rozgar kya hoga

    wo ek shair-e-azam ki nam tha 'jami'

    ab us sa koi haqiqat-nigar kya hoga

    shab-e-firaq to ro ro ke kaT li 'raunaq'

    ab aa rahi hai shab-e-intizar kya hoga

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now