abhi tak naqsh-e-pa hain rahguzar mein
abhī tak naqsh-e-pā haiñ rahguzar meñ
ka.ī sadiyāñ guzārī haiñ safar meñ
kiran Thahre hue paanī meñ utrī
diye jalne lage shīshe ke ghar meñ
mirī bīnā.ī hai zulmat-gazīda
mujhe rakkho ujāloñ ke nagar meñ
jise chāhā use pahlū meñ rakkhā
baḌī gunjā.isheñ dekhīñ nazar meñ
natīja zindagī ke baa'd niklā
sadaf kī aabrū chamkī guhar meñ
na kiije sang-bārī kā irāda
koī saudā nahīñ hai mere sar meñ
abhi tak naqsh-e-pa hain rahguzar mein
kai sadiyan guzari hain safar mein
kiran Thahre hue pani mein utri
diye jalne lage shishe ke ghar mein
meri binai hai zulmat-gazida
mujhe rakkho ujalon ke nagar mein
jise chaha use pahlu mein rakkha
baDi gunjaishen dekhin nazar mein
natija zindagi ke ba'd nikla
sadaf ki aabru chamki guhar mein
na kije sang-bari ka irada
koi sauda nahin hai mere sar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.