abhi tak talKHi-e-mai mein kami malum hoti hai
abhī tak talḳhī-e-mai meñ kamī mā'lūm hotī hai
laboñ par ik balā kī tishnagī mā'lūm hotī hai
tasavvur meñ tumhārī muskurāhaT rach ga.ī shāyad
mujhe har shai masarrat se bharī mā'lūm hotī hai
sunā hai zindagī meñ kashmakash se log Darte haiñ
mujhe to kashmakash hī zindagī mā'lūm hotī hai
mirī mā'sūmiyat to dekh lo fart-e-mohabbat meñ
tumhārī be-ruḳhī bhī dil-lagī mā'lūm hotī hai
ḳhulūs-e-dil se kyā jazba numāyāñ kar diyā tum ne
ki har sūrat mujhe kuchh ajnabī mā'lūm hotī hai
kisī kī dostī meñ dushmanī kī bū to kyā aa.e
mujhe to dushmanī bhī dostī mā'lūm hotī hai
abhi tak talKHi-e-mai mein kami ma'lum hoti hai
labon par ek bala ki tishnagi ma'lum hoti hai
tasawwur mein tumhaari muskurahaT rach gai shayad
mujhe har shai masarrat se bhari ma'lum hoti hai
suna hai zindagi mein kashmakash se log Darte hain
mujhe to kashmakash hi zindagi ma'lum hoti hai
meri ma'sumiyat to dekh lo fart-e-mohabbat mein
tumhaari be-ruKHi bhi dil-lagi ma'lum hoti hai
KHulus-e-dil se kya jazba numayan kar diya tum ne
ki har surat mujhe kuchh ajnabi ma'lum hoti hai
kisi ki dosti mein dushmani ki bu to kya aae
mujhe to dushmani bhi dosti ma'lum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.