abhi talak kisi gumnam aasman mein hai
abhī talak kisī gumnām āsmān meñ hai
ḳhudā kā shukr parinda mirā uḌaan meñ hai
ḳhamoshī jism meñ paivast ho ga.ī hai magar
bas ek chīḳh hai baaqī jo imtihān meñ hai
'ajīb ro'b kā 'ālam hai ḳhauf meñ hai yazīd
asar kuchh aisā hī bīmār ke bayān meñ hai
tumhāre hijr kā maarā ye nā-tavāñ kam-zarf
hamārā dil bhī kisī vasl ke gumān meñ hai
jo merī pusht pe kartā hai vaar chhup-chhup kar
vo ek shaḳhs mire apne ḳhāndān meñ hai
vo ek shaḳhs jo ab mujh pe ho gayā hai harām
vo ek shaḳhs jo ab bhī mire gumān meñ hai
'alam lagāyā hai ġhāzī kā tab se ghar meñ 'vasīm'
zamāne-bhar kā ujālā mire makān meñ hai
abhi talak kisi gumnam aasman mein hai
KHuda ka shukr parinda mera uDan mein hai
KHamoshi jism mein paiwast ho gai hai magar
bas ek chiKH hai baqi jo imtihan mein hai
'ajib ro'b ka 'alam hai KHauf mein hai yazid
asar kuchh aisa hi bimar ke bayan mein hai
tumhaare hijr ka mara ye na-tawan kam-zarf
hamara dil bhi kisi wasl ke guman mein hai
jo meri pusht pe karta hai war chhup-chhup kar
wo ek shaKHs mere apne KHandan mein hai
wo ek shaKHs jo ab mujh pe ho gaya hai haram
wo ek shaKHs jo ab bhi mere guman mein hai
'alam lagaya hai ghazi ka tab se ghar mein 'wasim'
zamane-bhar ka ujala mere makan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.