abhi to dil ke faqat pahle paedan pe ho
abhī to dil ke faqat pahle pā.edān pe ho
magar yaqīn ke tum āḳhirī nishān pe ho
na jaane kaun sī manzil meñ ishq hai merā
kisī duā kī tarah tum mirī zabān pe ho
bulandiyoñ pe tavāzun kī ehtiyāt rakho
ye vo jagah hai ki tum har ghaḌī Dhalān pe ho
hamārī niiñd phir āñkhoñ se ho ga.ī ruḳhsat
ki jaise ḳhvāb ke hamrāh phir uḌaan pe ho
khilaunoñ kī nahīñ ab justujū hai bachpan kī
ḳharīd luuñ maiñ agar ye kisī dukān pe ho
haiñ kitne ġham jo mujhe chārāgar ne baḳhshe haiñ
ab in ġhamoñ kā mudāvā to āsmān pe ho
tumhāre dil meñ mohabbat ke phuul yuuñ mahkeñ
hamāre naam kī titlī bhī pūl-dān pe ho
zamīñ pe jaal nahīñ hai to kyā patā 'ḳhālid'
shikārī ghaat lagā.e kisī machān pe ho
abhi to dil ke faqat pahle paedan pe ho
magar yaqin ke tum aaKHiri nishan pe ho
na jaane kaun si manzil mein ishq hai mera
kisi dua ki tarah tum meri zaban pe ho
bulandiyon pe tawazun ki ehtiyat rakho
ye wo jagah hai ki tum har ghaDi Dhalan pe ho
hamari nind phir aankhon se ho gai ruKHsat
ki jaise KHwab ke hamrah phir uDan pe ho
khilaunon ki nahin ab justuju hai bachpan ki
KHarid lun main agar ye kisi dukan pe ho
hain kitne gham jo mujhe chaaragar ne baKHshe hain
ab in ghamon ka mudawa to aasman pe ho
tumhaare dil mein mohabbat ke phul yun mahken
hamare nam ki titli bhi pul-dan pe ho
zamin pe jal nahin hai to kya pata 'KHalid'
shikari ghat lagae kisi machan pe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.