abhi to dil ko ek bachcha bana lena hai ro ro ke
abhī to dil ko ik bachcha banā lenā hai ro ro ke
tumheñ phir ek din apnā banā lenā hai ro ro ke
agar aañsū nikalne se jagah bantī hai āñkhoñ meñ
to āñkhoñ meñ tirā kamrā banā lenā hai ro ro ke
yaqīnan jurm saare pahle kar lene haiñ jiite jī
phir apne aap ko achchhā banā lenā hai ro ro ke
agar aa.e nahīñ ai fārhā ab bhī tumhāre ḳhat
to maiñ ne 'jaun' sā huliya banā lenā hai ro ro ke
safar ko ḳhūbsūrat moḌ par maiñ chhoḌ duuñ 'sāhir'
magar raste ne ik dariyā banā lenā hai ro ro ke
abhi to dil ko ek bachcha bana lena hai ro ro ke
tumhein phir ek din apna bana lena hai ro ro ke
agar aansu nikalne se jagah banti hai aankhon mein
to aankhon mein tera kamra bana lena hai ro ro ke
yaqinan jurm sare pahle kar lene hain jite ji
phir apne aap ko achchha bana lena hai ro ro ke
agar aae nahin ai farha ab bhi tumhaare KHat
to main ne 'jaun' sa huliya bana lena hai ro ro ke
safar ko KHubsurat moD par main chhoD dun 'sahir'
magar raste ne ek dariya bana lena hai ro ro ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.