abhi to rabt ke aasar pae jate hain
abhī to rabt ke āsār paa.e jaate haiñ
ḳhayāl hī meñ sahī par vo aa.e jaate haiñ
jo kaif ban ke zamāne pe chhā.e jaate haiñ
vo giit sāz-e-rag-e-jāñ pe gaa.e jaate haiñ
fareb-e-ishq pe hañste haiñ jo vo kyā jāneñ
ye dhoke soch samajh kar hī khaa.e jaate haiñ
abhī umiid hai īfā-e-ahd kī mujh ko
abhī se taare ye kyoñ jhilmilā.e jaate haiñ
vo aa.e haiñ na kabhī ā.eñge yaqīñ hai magar
ham apnī bazm-e-tasavvur sajā.e jaate haiñ
harīm-e-nāz hai ye jalva-gāh-e-tūr nahīñ
yahāñ nazar nahīñ dil āzmā.e jaate haiñ
vo kahte haiñ mire ash.ār sun kar ai 'naḳhshab'
ġhazal kī aaḌ meñ shikve sunā.e jaate haiñ
abhi to rabt ke aasar pae jate hain
KHayal hi mein sahi par wo aae jate hain
jo kaif ban ke zamane pe chhae jate hain
wo git saz-e-rag-e-jaan pe gae jate hain
fareb-e-ishq pe hanste hain jo wo kya jaanen
ye dhoke soch samajh kar hi khae jate hain
abhi umid hai ifa-e-ahd ki mujh ko
abhi se tare ye kyon jhilmilae jate hain
wo aae hain na kabhi aaenge yaqin hai magar
hum apni bazm-e-tasawwur sajae jate hain
harim-e-naz hai ye jalwa-gah-e-tur nahin
yahan nazar nahin dil aazmae jate hain
wo kahte hain mere ashaar sun kar ai 'naKHshab'
ghazal ki aaD mein shikwe sunae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.