abhi to sun hi raha hai zaban bhi kholega
abhī to sun hī rahā hai zabāñ bhī kholegā
mujhe yaqīñ hai kisī roz vo bhī bolegā
safar se apne zarā us ko lauT aane do
tamām karb vo siine meñ ḳhud samo legā
ka.ī dinoñ se vo hañs-hañs ke baat kartā hai
udāsiyoñ kā koī zahr mujh meñ gholegā
safar meñ apne vo tanhā nahīñ rahegā 'shamīm'
ki rāste meñ koī saath us ke ho legā
abhi to sun hi raha hai zaban bhi kholega
mujhe yaqin hai kisi roz wo bhi bolega
safar se apne zara us ko lauT aane do
tamam karb wo sine mein KHud samo lega
kai dinon se wo hans-hans ke baat karta hai
udasiyon ka koi zahr mujh mein gholega
safar mein apne wo tanha nahin rahega 'shamim'
ki raste mein koi sath us ke ho lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.