abhi to waqt baqi hai ishaara ho bhi sakta hai
abhī to vaqt baaqī hai ishāra ho bhī saktā hai
tumhāre paas jo kuchh hai hamārā ho bhī saktā hai
amīr-e-shahr se achchhā hai thoḌā fāsla varna
ba-nām-e-dostī dushman hamārā ho bhī saktā hai
na jaane kaun sā lamha kisī kī yaad aa jaa.e
ye aisā hādisa hai jo dubāra ho bhī saktā hai
kisī lamhe bharosa TuuT saktā hai mohabbat se
kisī lamhe haqīqat āshkāra ho bhī saktā hai
na jaane kab dayār-e-shauq kā mausam badal jaa.e
jo ik mauhūm nuqta hai sitāra ho bhī saktā hai
muḳhātab kī adā-e-nāz qātil ho bhī saktī hai
mohabbat kī tijārat meñ ḳhasāra ho bhī saktā hai
nujūmī kī kahī har baat sachchī ho nahīñ saktī
magar kuchh baat kī jānib ishāra ho bhī saktā hai
abhi to waqt baqi hai ishaara ho bhi sakta hai
tumhaare pas jo kuchh hai hamara ho bhi sakta hai
amir-e-shahr se achchha hai thoDa fasla warna
ba-nam-e-dosti dushman hamara ho bhi sakta hai
na jaane kaun sa lamha kisi ki yaad aa jae
ye aisa hadisa hai jo dubara ho bhi sakta hai
kisi lamhe bharosa TuT sakta hai mohabbat se
kisi lamhe haqiqat aashkara ho bhi sakta hai
na jaane kab dayar-e-shauq ka mausam badal jae
jo ek mauhum nuqta hai sitara ho bhi sakta hai
muKHatab ki ada-e-naz qatil ho bhi sakti hai
mohabbat ki tijarat mein KHasara ho bhi sakta hai
nujumi ki kahi har baat sachchi ho nahin sakti
magar kuchh baat ki jaanib ishaara ho bhi sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.