abhi uD kar bulandi se gira tha
abhī uḌ kar bulandī se girā thā
parinda shāḳh par sahmā huā thā
churā.e jā rahā thā mujh se nazreñ
yaqīnan vo mujhe pahchāntā thā
mohabbat meñ jo guzrī dil pe mere
use kuchh dil hī merā jāntā thā
falak-bosī mayassar aa ga.ī hai
magar kyā ḳhāksārī meñ maza thā
hamīñ sab faisle karte the apne
hamārī manzileñ thiiñ rāsta thā
ab ā.īna nahīñ ham dekhte haiñ
kabhī chehra hamārā phuul sā thā
tavaqqo' uTh ga.ī thī zindagī se
mu'ālij bhī mirā sahmā huā thā
vaqār ab kuchh nahīñ baaqī hai 'fārūq'
kabhī kirdār apnā aa.ina thā
abhi uD kar bulandi se gira tha
parinda shaKH par sahma hua tha
churae ja raha tha mujh se nazren
yaqinan wo mujhe pahchanta tha
mohabbat mein jo guzri dil pe mere
use kuchh dil hi mera jaanta tha
falak-bosi mayassar aa gai hai
magar kya KHaksari mein maza tha
hamin sab faisle karte the apne
hamari manzilen thin rasta tha
ab aaina nahin hum dekhte hain
kabhi chehra hamara phul sa tha
tawaqqo' uTh gai thi zindagi se
mu'alij bhi mera sahma hua tha
waqar ab kuchh nahin baqi hai 'faruq'
kabhi kirdar apna aaina tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.