abhi ya-rab bahut kuchh wusaten hain mere daman mein
abhī yā-rab bahut kuchh vus.ateñ haiñ mere dāmāñ meñ
chaman kā kāñTā kāñTā khiñch ke aa jaa.e bayābāñ meñ
mire maz.hab pe rashk-afroziyāñ haiñ kufr-o-īmāñ meñ
ilāhī kyā kashish rakh dī jabīn-e-ijz-sāmāñ meñ
kahāñ tak hogā ālamgīr ye vahshat kā hangāma
ye kaisī vus.ateñ haiñ kūcha-e-chāk-e-garebāñ meñ
tahī sāġhar nazar aaya na koī is ḳharābe meñ
sadā-e-rashk be-mafhum sī hai bazm-e-hirmāñ meñ
zarā us kī haqīqat par bhī bahs-ārā.iyāñ vaa.iz
jise ik jaam ne pahuñchā diyā hai bazm-e-irfāñ meñ
mohabbat ne idhar dil ko gudāz-e-ārzū baḳhshā
udhar kuchh bijliyāñ bhar diiñ nigāh-e-tūr-sāmāñ meñ
zarā ai hairat-e-jalva mire dil ko liye rahnā
naqāb ulTe hue haiñ vo tajallī-gāh-e-irfāñ meñ
azal se dast-e-gul-chīñ kā na dekhā jis ne saaya bhī
maiñ aisī ik chaman-bandī kā hāsil huuñ gulistāñ meñ
gulistāñ raqs kyoñ kartā mirī rangīñ-navā.ī par
na hotī mā'rifat 'bāsit' jo tab.a-e-sher-sāmāñ meñ
abhi ya-rab bahut kuchh wusaten hain mere daman mein
chaman ka kanTa kanTa khinch ke aa jae bayaban mein
mere mazhab pe rashk-afroziyan hain kufr-o-iman mein
ilahi kya kashish rakh di jabin-e-ijz-saman mein
kahan tak hoga aalamgir ye wahshat ka hangama
ye kaisi wusaten hain kucha-e-chaak-e-gareban mein
tahi saghar nazar aaya na koi is KHarabe mein
sada-e-rashk be-mafhum si hai bazm-e-hirman mein
zara us ki haqiqat par bhi bahs-araiyan waiz
jise ek jam ne pahuncha diya hai bazm-e-irfan mein
mohabbat ne idhar dil ko gudaz-e-arzu baKHsha
udhar kuchh bijliyan bhar din nigah-e-tur-saman mein
zara ai hairat-e-jalwa mere dil ko liye rahna
naqab ulTe hue hain wo tajalli-gah-e-irfan mein
azal se dast-e-gul-chin ka na dekha jis ne saya bhi
main aisi ek chaman-bandi ka hasil hun gulistan mein
gulistan raqs kyon karta meri rangin-nawai par
na hoti ma'rifat 'basit' jo taba-e-sher-saman mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.