abhi zindan ke darichon ko khula rahne de
abhī zindāñ ke darīchoñ ko khulā rahne de
kyā ḳhabar kab idhar aa jaa.e havā rahne de
TuuT kar ḳhud hī bikhar jā.ūñgā ai bād-e-sumūm
naḳhl-e-tāza huuñ to shādāb zarā rahne de
maiñ huuñ zarra to mujhe ret ke tūfāñ se bachā
maiñ huuñ qatra to samundar se judā rahne de
raushnī hogī to saa.e bhī sitam Dhā.eñge
aur kuchh der charāġhoñ ko bujhā rahne de
dil se umDī hī thī ik mauj lahū kī sar-e-shām
ek bujhte hue manzar ne kahā rahne de
maiñ ne kab tere taġhāful kī shikāyat kī thī
chashm-e-bedār mujhe kuchh na dikhā rahne de
abhi zindan ke darichon ko khula rahne de
kya KHabar kab idhar aa jae hawa rahne de
TuT kar KHud hi bikhar jaunga ai baad-e-sumum
naKHl-e-taza hun to shadab zara rahne de
main hun zarra to mujhe ret ke tufan se bacha
main hun qatra to samundar se juda rahne de
raushni hogi to sae bhi sitam Dhaenge
aur kuchh der charaghon ko bujha rahne de
dil se umDi hi thi ek mauj lahu ki sar-e-sham
ek bujhte hue manzar ne kaha rahne de
main ne kab tere taghaful ki shikayat ki thi
chashm-e-bedar mujhe kuchh na dikha rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.