abr aaya hai KHumar aaya hai
abr aaya hai ḳhumār aaya hai
chehra-e-gul pe nikhār aaya hai
jab kahīñ zikr-e-bahār aaya hai
jhūmtā bāda-gusār aaya hai
sar-ba-kaf aaj ġhazāl aate haiñ
kaun yaañ bahr-e-shikār aaya hai
na milā mahmil-e-lailā kā surāġh
qais har samt pukār aaya hai
auj par hai dil-e-nādāñ kā nasīb
us pe aaj un ko bhī pyaar aaya hai
kah rahe haiñ vo ḳhudā ḳhair kare
ham pe to hotā nisār aaya hai
jab shagūfa koī gulshan meñ khilā
sāmne jalva-e-yār aaya hai
luTā sabr aur sukūñ phir 'nazmī'
jab zarā dil ko qarār aaya hai
abr aaya hai KHumar aaya hai
chehra-e-gul pe nikhaar aaya hai
jab kahin zikr-e-bahaar aaya hai
jhumta baada-gusar aaya hai
sar-ba-kaf aaj ghazal aate hain
kaun yan bahr-e-shikar aaya hai
na mila mahmil-e-laila ka suragh
qais har samt pukar aaya hai
auj par hai dil-e-nadan ka nasib
us pe aaj un ko bhi pyar aaya hai
kah rahe hain wo KHuda KHair kare
hum pe to hota nisar aaya hai
jab shagufa koi gulshan mein khila
samne jalwa-e-yar aaya hai
luTa sabr aur sukun phir 'nazmi'
jab zara dil ko qarar aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.