abr chhaega kabhi dhup bikhar jaegi
abr chhā.egā kabhī dhuup bikhar jā.egī
zindagī hai to bahar-hāl guzar jā.egī
ham jo har kaam ke anjām pe Dāleñge nazar
ruuh ġhunchoñ ke tabassum se bhī Dar jā.egī
fikr kī sham.a karoge jo shab-e-ġham raushan
raushnī tah meñ añdhere ke utar jā.egī
zindagī dahr meñ sone kī tarah hai apnī
ātish-e-ġham meñ tapegī to nikhar jā.egī
ham jidhar hoñge udhar aañkh uThegī kis kī
vo jidhar hoñge udhar sab kī nazar jā.egī
tum mohabbat hī na doge to mohabbat kaisī
ghar meñ vo chiiz hī niklegī jo ghar jā.egī
ab ke gahrā hai bahut rang-e-bahārāñ 'nazmī'
ab ke vahshat mirī le kar mirā sar jā.egī
abr chhaega kabhi dhup bikhar jaegi
zindagi hai to bahar-haal guzar jaegi
hum jo har kaam ke anjam pe Dalenge nazar
ruh ghunchon ke tabassum se bhi Dar jaegi
fikr ki shama karoge jo shab-e-gham raushan
raushni tah mein andhere ke utar jaegi
zindagi dahr mein sone ki tarah hai apni
aatish-e-gham mein tapegi to nikhar jaegi
hum jidhar honge udhar aankh uThegi kis ki
wo jidhar honge udhar sab ki nazar jaegi
tum mohabbat hi na doge to mohabbat kaisi
ghar mein wo chiz hi niklegi jo ghar jaegi
ab ke gahra hai bahut rang-e-bahaaran 'nazmi'
ab ke wahshat meri le kar mera sar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.