abr hai aandhi hai aur tufan hai
abr hai āñdhī hai aur tūfān hai
aadmī kī kyā nirālī shaan hai
hai bahut pechīda-tar rāh-e-vafā
dil lagānā to bahut āsān hai
kis masīh-e-vaqt kā hai ġhalġhala
saarā aalam kis liye hairān hai
muddatoñ kī hai tire kūche kī sair
sirf tujh se jaan aur pahchān hai
ham to haiñ us zulf ke 'sāqī' asiir
jis pe qurbāñ diin hai īmān hai
abr hai aandhi hai aur tufan hai
aadmi ki kya nirali shan hai
hai bahut pechida-tar rah-e-wafa
dil lagana to bahut aasan hai
kis masih-e-waqt ka hai ghalghala
sara aalam kis liye hairan hai
muddaton ki hai tere kuche ki sair
sirf tujh se jaan aur pahchan hai
hum to hain us zulf ke 'saqi' asir
jis pe qurban din hai iman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.