abr hun dhup hun sahra hun samundar hun main
abr huuñ dhuup huuñ sahrā huuñ samundar huuñ maiñ
muḳhtalif ruup haiñ mere ki suḳhanvar huuñ maiñ
dhuup niklegī to un kā bhī bharam TūTegā
jin kī nazroñ meñ abhī mom kā paikar huuñ maiñ
kisī dāman ke muqaddar ko jagāne ke liye
vaqt kī palkoñ pe Thahrā huā gauhar huuñ maiñ
tū jo chhū le to ḳhad-o-ḳhāl numāyāñ ho jaa.eñ
varna dhuñdlāyā huā ḳhvāb sā manzar huuñ maiñ
dekhnā jab kisī me'mār ke haath ā.uñgā
aaj dīvār se ukhḌā huā patthar huuñ maiñ
ḳhud-shanāsoñ ne abhī mujh ko khañgālā hī nahīñ
varna har rang-e-talātum kā shanāvar huuñ maiñ
jis pe tahrīr bhī taqrīr bhī nāzāñ hai 'nazīr'
aisā shahbāz-e-qalam aisā suḳhanvar huuñ maiñ
abr hun dhup hun sahra hun samundar hun main
muKHtalif rup hain mere ki suKHanwar hun main
dhup niklegi to un ka bhi bharam TuTega
jin ki nazron mein abhi mom ka paikar hun main
kisi daman ke muqaddar ko jagane ke liye
waqt ki palkon pe Thahra hua gauhar hun main
tu jo chhu le to KHad-o-KHal numayan ho jaen
warna dhundlaya hua KHwab sa manzar hun main
dekhna jab kisi me'mar ke hath aaunga
aaj diwar se ukhDa hua patthar hun main
KHud-shanason ne abhi mujh ko khangala hi nahin
warna har rang-e-talatum ka shanawar hun main
jis pe tahrir bhi taqrir bhi nazan hai 'nazir'
aisa shahbaz-e-qalam aisa suKHanwar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.