abr-para hun koi dam mein chala jaunga
abr-pāra huuñ koī dam meñ chalā jā.ūñgā
naqsh-bar-āb huuñ lahroñ meñ samā jā.ūñgā
dhaar par apne ta.aqqul ko chaḌhā jā.ūñgā
rasm-e-āzādī-e-afkār uThā jā.ūñgā
ye aqā.ed haiñ chhalāve unheñ ifshā kar de
ma.anī-e-sīmiyā duniyā ko batā jā.ūñgā
sar meñ saudoñ ke bunā kartā huuñ taane baane
ahl-e-tadbīr ko chakkar meñ phañsā jā.ūñgā
kaise tarsīl karūñ sāma-e-yārāñ tak
shahr-āshob parindoñ kā sunā jā.ūñgā
muñh ko be-rūh kitāboñ se basīrat na milī
shahr se jaate hue sab ko jalā jā.ūñgā
abr-para hun koi dam mein chala jaunga
naqsh-bar-ab hun lahron mein sama jaunga
dhaar par apne taqqul ko chaDha jaunga
rasm-e-azadi-e-afkar uTha jaunga
ye aqaed hain chhalawe unhen ifsha kar de
mani-e-simiya duniya ko bata jaunga
sar mein saudon ke buna karta hun tane bane
ahl-e-tadbir ko chakkar mein phansa jaunga
kaise tarsil karun sama-e-yaran tak
shahr-ashob parindon ka suna jaunga
munh ko be-ruh kitabon se basirat na mili
shahr se jate hue sab ko jala jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.