abr phir se uTha jhum kar barishon ko lapeTe hue
abr phir se uThā jhuum kar bārishoñ ko lapeTe hue
lauT aa.e parinde sabhī bāl-o-par ko sameTe hue
zindagī-bhar muḳhālif rahe maut ne ik jagah kar diyā
ai zamīñ terī āġhosh meñ dost dushman haiñ leTe hue
apne a.amāl kī hai sazā hukmrānī faqīrī banī
yaad haiñ vo ḳhazāne sabhī apne hāthoñ sameTe hue
merī jholī meñ beTe nahīñ phir bhī ḳhush huuñ maiñ ye soch kar
mustafā ke nasab ke amiiñ fātima ke hī beTe hue
har qayāmat guzar hī ga.ī ḳhush rahūñ yā ki ġhamgīn huuñ
aaj manzil pe pahuñchā magar apnī hastī sameTe hue
'shāhid' anvar tire hukm par haath phailā.e baiThā hai yuuñ
chañd ashkoñ kī sauġhāt aur kuchh duā.eñ sameTe hue
abr phir se uTha jhum kar barishon ko lapeTe hue
lauT aae parinde sabhi baal-o-par ko sameTe hue
zindagi-bhar muKHalif rahe maut ne ek jagah kar diya
ai zamin teri aaghosh mein dost dushman hain leTe hue
apne aamal ki hai saza hukmrani faqiri bani
yaad hain wo KHazane sabhi apne hathon sameTe hue
meri jholi mein beTe nahin phir bhi KHush hun main ye soch kar
mustafa ke nasab ke amin fatima ke hi beTe hue
har qayamat guzar hi gai KHush rahun ya ki ghamgin hun
aaj manzil pe pahuncha magar apni hasti sameTe hue
'shahid' anwar tere hukm par hath phailae baiTha hai yun
chand ashkon ki saughat aur kuchh duaen sameTe hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.